Friday, 24 March 2023


चलो ना एक बार फिर से शुरूवात करते हैं, 

पुरानी यामाहा की मरम्मत करवाकर अपना रिश्ता रिपैर करते हैं 

बिना गूगल मैप, बिना रेनकोट बरसात में लोंग ड्राइव पर चलते हैं , बिना फ़िक्र की सर्दी लग जाएगी 

लग भी गयी तो गर्म पानी में काली रम पी लेंगे  

चलो उसी रास्ते पर चलते हैं जहां कुछ लम्हे छूटे हैं 

वही जिन्हें अक्सर तुम पुरानी तस्वीरों की अल्बम में खोजती हो 

फिर हम दोनो  की तरफ  देखती हो 3 हज़ार फ़ुट के डूप्लेक्स में 

सब कुछ क़रीने से सजा, मगर उन लम्हों सा कुछ नहीं 

ठिठक जाती हैं तुम्हारी नज़रें सुंदेचक पर फुदकती गिलहरी पर 

उससे ज़ल्लस फ़ील करती हो, जायज़ है तुम्हारी जलन  


chalo na phir ek baar shuru se shuwaat karte hain 




purani yamaha ki marmmat karwakar khud ko / apna rishta  repair karte hain.
bina google map, bina raincoat barsaat mein long ride par chalte hain, bina fikr ki sardi lag jayegi...
lag bhi gayi to garm paani ke saath udhaar ki kaali sasti wali rum pee lenge... 

chalo phir usi raaste par chalte hain jahan peechhe kuchh lamhe chhoote hain... wahi jinhe aksar tum purani tasveeron ki album mein talashti ho... phir hum dono ki taraf dekhti ho to 3 hazaar Sq feet ke  duplex mein, sabkuchh kareene se saja hai magar un lamhon sa kuchh nahi... thithak jaati hain tumhari nazaren sundeck par phudakti gilhari par tumhe usse jalan hoti hai...  jaayaz hai tumhari jalan....sirf chehre wahin hain humare aur hum khud se ajjnabi ... suno na isiliye kahta hun chalo phir se shuru se shuruwaat karte hain. 
chalo na phir man ki baaten khaton mein likhakr wahi jaan pahchaan banaate hain... chalo na phir se chaadar mein munh dhakkar  landline par saari saari raat batiyaate hain... 
chalo na phir wahi lamhe chunte hain, kuchh nayi yaadon ki tasveeren banate  hain...
galati se laal batti hi to jump kee hai yaar
chalo na ik chalaan kataakar phir aage badhte hain...
is baar thoda sambhkar sambhalkar... 
chalo na us 1 room kitchen mein jhaankar aate hain jahan jeben khaali phir bhi  har sham jashn thee... chalo na phir se shuru se shuruwaat karte hain. chalo na jeete hain phor se. purani yamaha ki marammat karwakar khud ko repair karte hain. (23/11/22)


intazar karti darwaaze ki chaukhat ke chehre par bhi salwaten aa gayi hain
dehri bhi bechain hai

subah ki ek pyali chaay tumhrae saath adrak wali mere haath ki
uski bhaap ke peechhe se tumhari alsaayi aankhen, chaay ki chuski lete honth mujhe poore din ke liye energy dete hain... phir din bhar ki har chaay pheeki lagti hai...200 wali capachino bhi paani kam lagti hai...  bas yun ho har subah tumhare saath peeni hai mere haath ki adrak wali chaay....